|
Ghum o dukh kay yeh isharey tum na samjho gay
Jo din hum nay tumharey bin guzarey, tum na samjho gay
Tumhain kaisey batain, tum humarey wastay kia ho
samandar kee kahanee main kinarey, tum na samjho gay
Bas itnaa jaan lo, ek shaksh say hum nay mohabbat kee
Humarey tootaney kaa khail piyarey, tum na samjho gay
Hazaron mushkilon say khail kar bhee jeetaney waley
Yeh aakhir kiss jagah pay aa kay harey, tum naa samjho gay
Please, sign in to add your comment.