|
Bohat baichain rahtee hay tabiat aik muddat say
Dil o jaan ko nahee mil payee rahat aik muddat say
Mujhey bhee rok rakha hay mairee masroofiat nay aur
Nahee kee tum nay bhee milnay kee zahmat aik muddat say
Bohat majboor hoon, warnaa, bohat mahsoos kartaa hoon
Mairee jaan ! tum say milnay kee zaroorat aik muddat say
Kisee din aa kay mil jao kay apnaa lee hay aankhon nay
Tumharee yaad main ronay kee aadaat aik muddat say
Please, sign in to add your comment.